Wednesday, October 30, 2019

Khoj

Zindagi ek khoj hai shayad
Khoj hi hogi, yahan

Kuch sacchai khoj rahe hai
Kuch acchai khoj rahe hai

Kuch rishtey khoj rahe hai
To kuch unke maine khoj rahe hai

Kuch jazbaat khoj rahe hai
To kuch unhe bayan karsake woh alfaz khoj rahe hai

Kuch khushi khoj rahe hai 
Aur kuch hansi khoj rahe hai

Kuch gum hai khwab khojne mein
Aur kuch apni hakikat khoj rahe hai

Kuch dosti khoj rahe hai
To kuch pyaar khoj rahe hai

Hum bhi chale the zindagi khojne

Par ab jaise lagta hai apne aap ko khoj rahe hai

Saturday, October 19, 2019

Mutthi

Dil sabhi ka toot ta hai
Saath sabhi ka choot ta hai

Kuch asoonon mein baha dete hai
Kuch hasi mein daba lete hai

Magar thamti nahi zindagi kisi ke liye
Waqt ko mutthi mein daba lene se

Sach toh ye hai ki mutthi hamesha hi khali thi
Shayad der lagi humein hi yeh pehchaan ne mein

Monday, October 14, 2019

Rishtey

Kuch gum hai jo baatein nahi jaate
Kuch jashn hai jo manaye nahi jaate

Inhe rakha hai sanjokar yaadon mein
Ye kisse sabhi ko sunaye nahi jate

Arzoo hai kisi roz baateinge ye tumse

Bina in yaadon ke, riste banaye nahi jate

Sunday, October 13, 2019

Haarte hai pyaar se

Tumhare saath tha jo mera waqt wo haseen tha
Dekha tha jo khawb meine wo ban gaya yakeen tha

Apne hi yakeen ki dhund mein chalta gaya
Tumhari aadaton mein jane kyon dhalta gaya

Hosh jab sambhala toh laga mera hi dosh tha
Mann mein na jaane kyon khudse aakrosh tha

Dil mein sau sawal the par sar pe ek sawar tha
Kya tum mera saath dete agar hasil sirf haar tha

Fir jutaya hosla aur chala mein us mukam pe
Jahan na teri yaad thi na mera dil tha mere saath mein

Thak gaye hai pair mere fir bhi kyon tera ehsaas hai
Itna door aa chuka hoon ab bachi na koi saans hai

 Dil se na mita saka na bhulka saka mein yaad se

 Tab samaj aaya kyon log haarte hai pyaar se